UPDATE .................................265
mona ne kaha lakain main ab neechy kaysy jawoon gi .... un ka samna kaysy karoon gi ,,,,,,,,,, os ke chehray ka rang urr chuka tha os ki awaz tharthara rahi thi aur os ka jisam kamp raha tha,,,,,,
mona ka hiya aur sham dekh kar main 100/100 bar os par qurban ho raha tha,,,,, main ne os ko dobara apnay galy lagana chaya tou wo jhutkay se peechy ho gi aur boli ,,,,,,,,, main mar rahi hun ,,,, ab kia ho ga...... main ne zabar dasti os ko apny sath lagaya aur kaha mona kia ho gia hai ,,,,,,,,,,,, hum ne kuch galat nahi kia ...... main tumhary sath hun na,,,,,,,,, tum kuch bhi fiqar na karo,,,,, meray hoty hooy tum par aanch bhi nahi aa sakti...........
mona ne dobara bazowoon se meri kameez ko zor se pakar lia aur kehnay lagi mujhay bohat dar lag raha hai ,,,,,,,,,aur meray sath lag gi ,,,,, main ne mehsoos kar lia os ka jism bohat hi zaida kamp raha hai ,,,,,, main ne os ko samjhany ki bohat koshash ki lakin os ki halat sambhal hi nahi rahi thi ,,,,,,,, main ne os ko apny sath lagye hooy hi ghar ki dewar ki tarf chala gia uar neechy dekha tou uzma chulhay ke pass bethi thi,,,,,
jaisy hi uzma ne oper dekha main ne os ko oper aany ka ishara kia ...... mona es se bekhabar thi ,,,,,,,,,
main ne mona ko apnay ap se alag kia aur kaha ab sab kuch tumhary samnay ho jay ga uzma oper aa rahi hai ,,,,,,,,,,, jaisy hi main ne yeh kaha mona ne meri tarf heirat se dekhty hooy kaha kiaaaaaaaaa ,,,,,,, ap ne un ko kion bula lia ,,,, ab kia ho ga ,,,,, mona se bola bhi nahi ja raha tha,,,,,
tab uzma oper aai aur merai tarf smile se dekhty hooy boli ,,,,,, mujhay kion yad kia hai tou main ne kaha uzma dekho es ki halat,,,
uzma ne jaisy hi mona ko dekha tou jaldi se os ko pakar lia aur boli kia hoa hai tum ko ,,,, tou main ne kaha yeh dar gi hai tum se tou uzma boli mujh se kion dar gi tou main ne dhaky chupy alfaz min os ko sari bat batai tou uzma ne mona ko galy se laga lia aur piyar karny lag gi ,,,mona kia ho gia hai meri jan ...yeh bhi koi bat hai..... wo mona ko apnay sath laga kar os se piyar kar rahi thi aur keh rahi thi ,,,,,,,,,
mona tum ko pata hai jab tum aai thi tab hi main samjh gi thi tum bhai ko milny aai ho main esi liye tou oper aai thi ,,,,,,,,,, agar bhai mujhy chaye ka na kehta tou main ne khud bhi chaly jana tha ,,,,,,
uzm batain kar rahi thi lakin mona chup thi wo uzma ki kisi bhi bat ka koi jawab nahi de rahi thi ,,,,,, tab uzma boli agar ab bhi meri bat na samjhi tou main ne tum ko marna bhi hai aur yeh keh kar mona ke sar par hath phernay lag gi ,,,,
mona uzma ke sath lagi hoi thi main pass hi khara tha main ne os ki tarf dekha tou mujhay feel hoa wo ro rahi hai tou main bola es min rony kia kia bat hoi tou uzma ne mona ko apny ap se thora alag kia tou waqee hi mona ro rahi thi aur boli appi ayanda nahi ho ga ,,,,,,,,,,,,, tou uzma ne kaha hoa kia hai jo ayanda nahi ho ga ,,,,,,,,,,
dekho mona tum meri choti behan ho aur tum ko pata hai main kia chati hun aur ammi ji kia chati hin tou mona ne uzma ko dekha tou uzma boli main chati hun keh tum meri bhabhi ban jawo ,,,,,,,, aur ammi ji bhi yehi chati hin ,,,,,,,,
uzma ki bat sun ke mona ke chehray par hiya ki lali aa gi aur wo uzma ke galy lag gi ,,, uzma mona ki kamar thapthapa rahi thi aur boly ja rahi thi ,,,,,,,,,, ab sharm aa rahi hai mujh se yehi bat sun'ni thi na tum ne tou os ke bad mona ne sar oper nahi uthaya ,,,,,,,,,,,,,,
mona ab kafi had tak sambhal chuki thi lakin sharma rahi thi uzma ne mona ko apny ap se alag kia aur boli main tou neechy ja rahi hun ,,,,,, tab mona boli appi main bhi ap ke sath hi ja rahi hun tou uzma boli tum chaye pi kar aa jana lakin wo na ruki aur neechy chali gi .........
main oper hi raha ,,, sham ka andhera chaa chuka tha ,,,,,,main uzma ke munh se mona kaliye lafaz bhabhi sun ke bohat khush tha ,,,,,, thori dair ke bad main neechy aa gia aur uzma aur mona sehan min hi bethi thi aur ayasta ayasta batain kar rahi thi ,,,,, main bhi un ke qareeb aa gia ,,,,,,,,
main ne poocha kia batain ho rahi hin tou uzma boli ap ko batany wali koi bhi bat nahi hai ,,,,, main kamray min jany laga tou uzma ne kaha bhai mis meesni ko ghar chor awo ,,,,,,,
main ne mona ki tarf dekha tou wo sar jhukaye hooy bethi thi .... main os tarf bhara tou wo khamoshi se khari ho gi aur meray peechy peechy chal pari ,,,,,,, main ne bahar niklty hi kaha ,,,, ab theek ho gia na,, tou mona meri bat par sirf muskrai ,,,,,,, main ne dobara kaha ,,,,, uzma ki bat pasanad aai hai tou wo boli mujhay nahi pata,,,,,,, main ne kaha es ka matlab hai uzma ne tumhara naam theek hi rakha hai tou mona ne kaha wo kia tou main ne kaha mis meesni ,,,,
meri bat sun ke wo boli ap tou na kahain na tou main ne kaha tou phir batwo jo uzma ne kaha wo theek kaha ya nahi tou wo boli appi ne kaha kia hai tou tab tak hum un ke darwazy par punch chuky thy ,,,, main ne os ki tarf dekhty hooy kaha uzma ne kaha hai wo tum ko apni bhabhi banana chati hai ,,,,,,,
meri bat sun ke mona ne apna munh apny dopaty min chupa lia ,,,,,,,, aur darwazy ko dhaka dia tou darwaza khul gia aur hum ghar min dakhal ho gay
UPDATE .................................266
hall room min chacha ji ke alawa sab hi thay ,, main ja ke chachi ji se mila un se piyar lia aur beth gia tab kiran boli ,,,, koi aur bhi yahan betha hai ,,, main ne kaha bethi ho tou bethi raho ,,,,,, wo bethi chair chaar karti rahi aur main os ko jawab deta raha,,,,,,,,,
chachi ji kehny lagi babar tumhary chacha ne bohat tareef ki hai keh tum dil laga kar parh rahy ho ,,,,,, main ne kaha chachi ji ghar se door bhi raho aur apna maqsad hasal na karo tou kia faida ,,,,,,,
chachi ji se poocha keh chacha ji kahan hin tou wo boli pata nahi bata kar rahi gay ,,,,,,,,,,,, tab chachi ji ne kiran se kaha jawo chaye bana lawo babar kaliye tou main ne kaha nahi chachi ji abhi pi kar aya hun tou mona jaldi se boli ,,, kab pi hai wo tou waisy hi reh gi ,,,,,,,,, main ne mona ki tarf dekha tou os ko hosh aya keh galat bat kar gi hai ,,,,, tab chachi ji ne kaha kia matlab ,waisy kaysy reh gi tu main ne kaha pary pary thandi ho gi thi ,,,,,,, meri bat sun ke mona ne sukh ka saans lia ,,,,,,,,,,,,,
chachi ji ne dobara kiran se kaha ab uth rahi hai ya nahi tou wo boli jati hun ,,,,, aur jarty hooy meray pass se guzrty hooy mera hath pakar ke khanchty hooy tum bhi meray sath awo nahi tou main dobara tumhary liye thandi chaye lawoon gi main ne os se hath chura lia lakin wo apni jagha se hili nahi ,,,,,,,,,,, chachi ji ne os ko danta bhi keh jawo tum khud bana ke lawo lakin wo hilli nahi ,,, aur main wahan se utha aur os ko muka marty hooy os ke sath chal para ,,,,,,,,,,
main kitchen ke darwazy min khara ho gia wo chaye banany lag gi tab wo boli bary be wafa ho tum ,,,,kibhi na hal pocha na koi bat ki tou main ne kaha tum ko har waqat mazaq hi soojha rehta hai tou wo boli nahi main mazaq nahi kar rahi,,,,,,,,,,,,
main ne kaha jab main kehta hun tab tum ati nahi tou wo boli tum ko ganday kamoon ke alawa koi bat nahi aati tou main ne kaha main ne kab kisi gandy kam ki bat ki hai main tou waisy hi milny ka keh raha tha ,,,,,,,,,tum ko yad hai na tum ko kaha tha milny ka lakin tum nahi aai thi ,,,,,,,,,,, tab wo kehnay lagi kab ki bat kar rahy ho tou main ne os ko yad karwaya tou wo kehnay lagi phir gandy kam hi ki bat kar rahy ho na ,,,,,,,,,,,,,
kiran.. babar kia hum waisy nahi mil sakty
main.. waisy mil tou raha hun aur kaysy milty hin ( main ne jal kar kaha)
kiran.. ab bhi tum ne kab bahar ana tha agar main zabardasti tum ko pakar kar na le kar ati,,,,,,,,,
main.. meri marzi thi tou main aya hun ,,,,, agar meri marzi na hoti tou tum kibhi mujhy nahi la sakti thi,,,,
kiran.. babar tumhara zara bhi dil nahi karta mujh se milny ko
main.. yar karta hai dil kion nahi karta
kiran.. tou phir kion nahi aty milny ,,,,, pehlay hi itny dino bad aty ho
main.. yar kiran ik kam karo gi
kiran.. ganda kam nahi kehna baqi sab karoon gi
main.. jawo main ne tum se koi kam bhi nahi kehna
kiran.. tum kam tou batwo na
main.. nahi hai koi bhi kam mujhy tum se
kiran.. acha acha ab zaida nakhray na dekhawo ,,,,, aur bolo kia kam hai
main.. kiran aj rat ko hum milain?
kiran.. phir wohi bat
main.. acha acha rehnay do
kiran.. babar tum ko kia milta hai
main.. kaha na ab bat na karo
kiran.. babar samjha karo sab ghar par hoty hin ,,,, agar kisi ko pata chal gia tou,,,,
main.. bus main 10 minutes hi miloon ga wada paka wada
kiran.. babar soch lo agar kisi ko pata chal gia tou mary jain gy
main.. yar daro na kisi ko kuch pata nahi chaly ga
kiran.. theek hai
main.. kab awoon main phir
kiran.. tum 12 bajy ana ,,, poray 12 bajy,,, main sehan ki light off kr dun gi
main.. aur bahar ka darwaza khol ke rakhna
kiran.. theek hai lakin 10 minutes se zaida nahi
main .. theek hai ,,, main ab kamray min jawoon
kiran.. haan jawo , main bhi chaye le kar ati hun
main khush hoty hooy wahan se hal room min aa gia aur chachi se batain karny lag gia ,,,,,,,,,, aur sath sath mona ko bhi dekh raha tha main ne note kia mona batoon ki tarf tawaja kam aur meri tarf tawaja zaida kar rahi thi jaisy hi main os ki tarf dekhta wo ankhian neechy kar laiti,,,,,,,,
kiran chaye le kar kamray min aa gi ,,,, aur hum chae peeny lag gy,,,,,
chaye pi kar fargh hi hooy thy keh chacha ji bhi aa gay ,,,, main un se mila ,, aur beth gia ,,, chacha ji ne sir farid ka hal poocha tou main ne bata dia wo theek hin,,,, phir chacha ji khud hi boly babar karachi jany ka kia programe hai tou main ne kaha chacha ji ,,,,,, jaisy ap kahoo tou chacha ji boly yar wo bhaly log hin aur tum se kitna piyar karty hin ,,,,,, mujhay tou wo bohat hi bhaly lagy hin ,,,,, tum un ke sath chaly jawo ,,,,,,
chacha ji ne kaha main ne bhai jan se bat kar li thi aur un ko bataya tha kaysy wo tum ko mehnat se parhaty hin aur tum apny dostoon se bohat agay ho parhnay min ,,,,,, aur bhai jan ne kaha tha tum chaly jana,,,,,,